
Aaj phir apne ghar mein,
woh surakshit hai,
un chaar deewaron ke bane,
makdi ke jaale mein, dhoop se,
woh surakshit hai,
din mein taare dekhti,
magar corona jaise mahamaari se toh,
woh surakshit hai,
aur jo taare dikhaata,
uski nidra mein chand ghanto ke liye,
woh surakshit hai.
ekant mein khayal aaya,
ki bhawra sada gungunata hai,
kyunki marte waqt bhi,
woh surakshit hai,
bhumi ki sahan shakti par ho jaaye,
toh bhuchal machake,
woh surakshit hai,
issi soch ke nashe mein,
aaj haathon se khud ko,
bachaya nahi, magar usko roka,
toh aaj pehli baar apne ghar mein,
woh surakshit hai.
#StayHomeStaySafe – But is everyone truly safe?