
Yaadon ke chourahe par,
Aaj mulakat hui unse,
Jinhe dekhkar dhadkane tez hoti hai,
Unke jhalak se ek ajeeb ghabrahat hui phir se.
Unki aahat ki khushboo bhi jab chookar jati,
Toh hum itna khush hote hai,
Aur jinki ek muskurahat pe jaan aa gyi,
Woh hi idhar baahe failakar khade hai.
Tum meri har saans mein basti ho,
Aise kehkar ek ghutne par woh baithe,
Tabhi alarm aur mummy ek saath bole,
Utho 5 baj gaye.
Aaj toh blush ki bhi zaroorat nahi padi hume,
Itna sharmaye hum din bhar,
Man ki aankhon mein,
Woh shahad sa meetha sapna action replay hone par.
Ghar ke liye nikalte waqt pata chala,
Subah ke sapne kaise hai sach hote,
Office ke corridor mein jab woh hume,
Shoe lace bandhte hue mile!